Sunday, 1 December 2013

Pyaar-Ikraar


                                     Pyaar-Ek Ikraar


Pyaar ek aisa shabd jiske maaine hazaron hai,
pyaar ek aisa shabd jiske parwane hazaron hai,
barson se is shabd ka duniya mein hahakaar tha,
ye vahi shabd tha jiske kaaran mein jeena dushwar tha,
jindagi ki har khushi ko bhul chuka tha mein,
apni har khwaish aur armaan ka tyag kar chuka tha mein,
dhoka mila mujhe har mod par is duniya mein,
us dhokebaaz ke kaaran hasna tak bhul chuka tha mein,
pyaar itna kiya usse ki ruthne par khudko mitane chala tha mein,
na jaane upar waale ko mujhpe  kaise taras aaya,
usne muje jeevan mein tumse milwaya,
voh der raat tak ki baat,
tumhari awaaz sunne ka voh ehsas,
humari voh pehli mulakaat,
jab maine maanga tha tumhara haat.
tumhare khubsurti ke dedaar se meri duniyan tham gayi ,
khubsurti dekh tumhari saanse band si ho gayi,
jindagi mein pehli baar mujhe dil se aai woh awaaz,
ki beta sunle aaj,yahi hai voh ladki jo degi jeevan bhar tera saath,
tumhare chehre ki voh rangat tumhari adaon ki voh nazakat chu gayi mera dil,

Ek pal aisa aaya jab mein apni dil ki baaten bayan kar paya,
ruh ko sukun mila aisa jab teri aankhon mein jab voh noor aaya,
pyaar ka rishta usi pal tere sang aise jud gaya,
maano ek toote dil ko jeevan jeene ka ek sahara mil gaya.
ho tum aisi apsara jise ,
jeevan bhar apne seene se lagaunga,
mein jeevan bhar aapka pyaar nibhaunga,
aasha mein karta hun tere pyaar ki,
vishwas hai mera tumpar ki tum mera pyaar nibhaogi,
dhoka mila  phir agar is pyaar mein,
toh is duniya mein meri ruh ko kabhi na paogi,
is aashiq ki aahiqui ko pehchaan jaogi.

No comments:

Post a Comment